13 Times Munir Niazi's Poetry Absolutely Melted Our Hearts With His Shayari

By Sarah Babar | 11 Aug, 2017

Munir Niazi is one of the biggest poets to have emerged from the subcontinent. He’s right up there with names like Faiz Ahmed Faiz, Jon Elia, Ahmed Faraz. While his name resonates with generations, we still don’t give him the recognition that his work deserves, for example, the fact that he calls himself a Punjabi, but he’s of Pashtun descent. His work has not only been used in movies which went on to become super hit songs, like ‘Jis Ne Mere Dil Ko Dard Diya’ and ‘Zinda Rahein Tau Kaya Hai Jau Mar Jaaein Hum Tau Kaya,’ but also in pop culture, where we see Najam Sheraz singing ‘Un Se Nain Mila Ke Dekha’ and The Kominas singing their own rendition of ‘Kuj.’ He’s evoked strong emotions through his poetry, in both Urdu and Punjabi. While this list doesn’t put even a dent in the mountain of work by Munir Niazi, these are some of our favorites.

 

1. Khwab hotey hain dekhne ke liye

Kuch na hoga gila bhi karne se,
zaalimon se gila kiya na karo.

Un se niklen hikaayaten shayad,
harf likh kar mita diya na karo.

Apne rutbe ka kuchh lihaaz, munir
yaar sab ko bana liya na karo…

 

2. Adab ki baat hai warna, Munir, socho to, jo shakhs sunta hai woh

 

3. Gham-e-khaas per kubhi chup rahay

Koi daagh hai merey naam per

Koi saaya merey qalaam per

Yeh pahaar merey saamney

Ke kitaab manzar-e-aam, kisi intezaar-e-nazar mein

Koi roshni kisi baam per…

 

4. Khwahishein hi khwahishein hain aur hunr koi nahi

Daman-e-kohsaar main ya sahil-e-darya kay paas

Oonchi oonchi chootioun per sarhad-e-sehra k paas

Mut’tafiq aabadion main wus’aat-e-tanha kay paas

Rooz-e-roshan kay kinaray ya shab-e-yaldakay paas

Iss pareshani main mera rehbar koi nahin…

 

5. Lazim nahi ke us ko bhi mera khayal ho

Koi khabar khushi ki kahin se mile, Munir 

Iss roz-o-shab mein aesa bhi ik din kamaal ho…

 

6. Kuj shehr de log vi zaalim sann

Kuj shauq si yaar faqeeri da,

Kuj ishq ne dar dar rool dita,

Kuj sajna kasar na chaddi si

Kuj zehr raqeebaan ghol dita

Kuj hijr firaq da rang charheya

Kuj maahi anmol dita

Kuj sarr gayi kismet meri

Kuj pyaar vich yaaraan rol dita…

 

7. Muhabbat ab nahi ho gi

Sitaarey jo damaktey hain

Kisi ki chashm-e-hairaan mein

Mulaqaatein jo hoti hain jamal-e-abr-o-baraan mein

Yeh na’aabad waqtoun mein dil-e-nashad mein ho gi…

 

8. Ranj e firaq e yaar mein ruswa nahi hua

Aesa safar hai jis mein koi humsafar nahi

Rasta hai is tarhaan ka ke dekha nahi hua 

Mushkil hua hai rehna iss dayaar mein

Barsoun yahaan rahay hain, yeh apna nahi hua…

 

9.  Veeraan hai poora shehar koi dekhta nahin

Sadkon pe beshumaar gul-e-khoon parre hue

Pairoun ki daaliyon se tamaashe jharre hue

Kothon ki mamtiyon pe haseen butt kharre hue

Sunsaan hain makaan kahin dar khula nahin

Kamre sajey hue hain magar raasta nahin…

 

10. Shikwa kerein tau kis sey

Ik raayegaan amal ki reyazat kerein tau kya

Jis sheyy ne khatam hona hai, aakhir ko aik din

Uss sheyy ki itne dukh se hifazat kerein tau kya

Maani nahi Munir kisi kaam mein yahaan,

Ita’at kerein tau kya…baghawat kerein tau kya?

 

11. Un se nain mila ke dekha

Doori mein kya bhedd chhupa hai, 
Iss ka khoj laga ke dekho.

Kisi akeli shaam ki chup mein, 
Geet puraane gaa ke dekho.

Aaj ki raat bahut kaali hai, 
Soch ke deep jala ke dekho.

Dil ka ghar sunsaan parra hai,
Dukh ki dhoom macha ke dekho…

 

12. Zinda rahein tau kya hai

Dunya mein khamoshi sey guzar jayei hum tau kya

Hassti hi apni kya hai zamaney ke saamney 

Ek khwaab hain jahaan mein bikhar jayein hum tau kya

Ubh kaun muntazir hai humaarey kiye wahaan

Shaam aagayi hai laut ke gher jayein hum tau kya…

 

13. Kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho

Zuroori baat kerni ho, koi waada nibhaana ho,

Usse aawaz deni ho, usse waapis bulana ho

Madad kerni ho us ki, yaar ke dhaarus bandhna ho

Bohat day’reena rastoun per kissi se milne jaana ho

Badalte mausamoun ki sair mein, dil ko lugaana ho

Kisi ko yaad rakhna ho…kisi ko bhool jaana ho…

 

We sincerely hope we come to a point where poets as big as these are taught at every level of education, and our future generations are aware of the people who made our culture what it is. Pakistan Zindabad.

Share This

More Recent Stories

Featured

Zero Lifestyle’s game-changing move: Brought Fawad Khan and Irfan Junejo together to bring forth Premium Designer ...

17 Apr, 2024
Featured

Reviving Traditions: 7Up’s Innovative Campaign Brings Communities Together

9 Apr, 2024
Featured

Unlock the Joy of Eid Shopping with the Ideas Festive Sale!

5 Apr, 2024

Unveiling the New Cola Next TVC with Hamza Ali Abbasi: Celebrating Pakistani Pride

26 Mar, 2024
Featured

Zero Lifestyle Levels Up: A Global Sensational Icon THE FAWAD KHAN Has Arrived for ZERO’S EARBUDS – ZBUDS!

10 Mar, 2024
Featured

JS Bank Invites Iconic Photographer to Document Pakistan’s Rich Cultural Tapestry

7 Mar, 2024